ab dil ko intizar tere faisle ka hai aur tujh mein aib der talak sochne ka hai koi nahin sunega burai sharab ki har shakhs is dayar mein aadi nashe ka hai ab sang-bariyon ka amal sard pad gaya ab us taraf bhi ranj mere tutne ka hai ye sare log khud to hain jaise koi kaman jo tir chal raha hai kisi dusre ka hai chehre ka khol saf nazar aa gaya 'aqil' phir bhi ye shor hai ki qusur aaine ka hai