chaman chaman se gulon ka yahi payam aaya wahi hasin hai jo duniya mein shad-kaam aaya meri taraf ko uthi yun nigah saqi ki ki jaise daur mein labrez mai ka jam aaya khud un ke rukh se hua un ke dil ka haal ayan jo bhule-bisre kabhi lab pe mera nam aaya badha ke hath zamane ne us se chhin liya jo ek lahja bhi lab tak kisi ke jam aaya sada-e-pir-e-mughan thi ye bazm-e-rindan mein hai is ka mai-kada qabze mein jis ke jam aaya harim-e-naz se aa to gaya hun main lekin pukarta hua koi har ek gam aaya main gum hi tha abhi tarikiyon mein mazi ki ki subh-e-nau ki kiran ka mujhe salam aaya khayal-e-yar ki mad-hoshiyan maaz-allah meri nazar na uthi jab wo su-e-baam aaya khirad ki sari gai pukhta-kariyan be-kar bas ek shauq ka sauda-e-kham kaam aaya 'habib' dad-e-sukhan mil gai mujhe us roz pasand-e-taba jab un ko mera kalam aaya