chashm-e-dil par kaif hai chhaya hua hai tasawwur mein koi aaya hua dil mein hai har waqt ek mahfil jami kya hua gar main kabhi tanha hua tere qabil to nahin hai ye magar ek dil laya hun main tuta hua zikr phir bichhde chaman ka chhid gaya mundamil tha zakhm-e-dil taza hua ai chaman se aane walo kuchh kaho mera bhi ek aashiyan tha kya hua ab jawani ka karen kya tazkira ek afsana sa hai bhula hua kar raha hai dil ka matam kis liye dil agar tuta tera achchha hua umr guzri aur hum dekha kiye zindagi ka karwan luta hua thokaren kha kha ke duniya mein 'habib' yaad aaya har sabaq bhula hua