chaman-e-lala ye ulfat teri dikhlati hai sainkadon dagh hain aur ek meri chhati hai garche tuti bhi hai shirin-sukhani mein mumtaz par teri baat ki lazzat ko kahan pati hai badli aa jati hai is lutf se khurshid pe kam zulf munh par tere jis aan se khul jati hai gul hi tanha na khajil hai rukh-e-rangin se tere nargis aankhon ke tere samne sharmati hai main kahan aur tera wasl ye hai bas ai gul gah be-gah teri bu to saba lati hai raat thodi si hai bas jaane de mil hans kar bol na-khushi ta-ba-kuja subh hui jati hai raushni khana-e-ashiq ki hai tujh se warna tu na ho to shab-e-mahtab kise bhati hai sadgi dekh to dil us se kare hai yari nagani dekh ke jis zulf ko bal khati hai mah-rukhan kya hain ki ho aa ke muqabil 'bedar' kanpti samne jis shokh ke barq aati hai