bhare moti hain goya tujh dahan mein ki dur-rezi tu karta hai sukhan mein bahaar-ara wahi hai har chaman mein usi ki bu hai nasrin-o-saman mein na phir idhar udhar nahaq bhatakta ki hai wo jalwa-gar tere hi man mein jahan wo hai nahin wan kufr o islam abas jhagda hai shaikh o barhaman mein hui jati hai pani sharm se shama magar wo mah aaya anjuman mein chhudaya tha nipat mushkil se phir aah dil atka us ki zulf-e-pur-shikan mein junun ne dast-kari aisi bhi ki na tha goya gareban pairahan mein mara jata hai jis ghairat mein dariya gira kis ka hai dil chah-e-zaqan mein magar parwana jal kar ho gaya khak ki ro-ro shama jalti hai lagan mein jo sunte the dam-e-isa ka eajaz so dekha hum ne wo tere sukhan mein na dekha us pari-jalwa ko 'bedar' raha mashghul tu yan ma-o-man mein