chaman ko lag gai kis ki nazar khuda jaane chaman raha na rahe wo chaman ke afsane suna nahin hamein ujde chaman ke afsane ye rang ho to sanak jaen kyun na diwane chhalak rahe hain surahi ke sath paimane bula raha hai haram, tokte hain but-khane khisak bhi jaegi botal to pakde jaenge rind janab-e-shaikh lage aap kyun qasam khane khizan mein ahl-e-nasheman ka haal to dekha qafas nasib pe kya guzri hai khuda jaane hujum-e-hashr mein apne gunahgaron ko tere siwa koi aisa nahin jo pahchane naqab rukh se na sarki thi kal talak jin ki sabha mein aaj wo aae hain nachne-gane kisi ki mast-khirami se shaikh nalan hain qadam qadam pe bane ja rahe hain mai-khane ye inqalab nahin hai to aur kya 'bismil' nazar badalne lage apne jaane-pahchane