thi siyahiyon ka maskan meri zindagi ki wadi tere husn ke tasadduq mujhe raushni dikha di tera gham sama gaya hai mere dil ki dhadkanon mein koi aish jab bhi aaya mere dil ne bad-dua di jo zara bhi nind aai kabhi ahl-e-karwan ko wahi ban gae lutere jo bane hue the hadi wo kabhi na ban saki hai wo kabhi na ban sakegi kisi dil ki jo imarat teri be-rukhi ne dha di ye kabhi kabhi inayat hai ba-manzil-e-siyasat ki jafaen sahne wala kahin ho na jae aadi hamein aakhirat mein 'amir' wahi umr kaam aai jise kah rahi thi duniya gham-e-ishq mein ganwa di