chaman mein aatish-e-gul bhi nahin dhuan bhi nahin bahaar to ye nahin hai magar khizan bhi nahin bichhad gae hain kahan ham-safar khuda jaane nuqush-e-pa bhi nahin gard-e-karwan bhi nahin tawaf-e-kaba kiya but-kada bhi dekh aae sukun-e-qalb yahan bhi nahin wahan bhi nahin qafas hai gosha-e-rahat qafas hai dar-e-aman gham-e-chaman bhi nahin fikr-e-ashiyan bhi nahin kahan ke git kahan ki ghazal ki ham-sukhano bahut dinon se hamein jurat-e-fughan bhi nahin