gham ki tha harif-e-jaan ab harif-e-jaanan hai ab wo zulf-e-barham hai ab wo chashm-e-giryan hai wusaton mein daman ki in dinon gareban hai ham-nafas kahin shayad mausam-e-bahaaran hai rang-o-bu ke parde mein kaun ye khiraman hai har nafas moattar hai har nazar ghazal-khwan hai bandagi ye kya jaane dair kya haram kya hai hum jahan pe hain waiz kufr hai na iman hai shukriya magar naseh tu ye raaz kya samjhe jaur-e-barmala un ka iltifat-e-pinhan hai