chaman mein ab koi ai dost zindagi na rahi gulon mein rang bahaaron mein dilkashi na rahi kahan banaen nasheman qafas se chhutne par ki ab chaman mein koi aisi shakh hi na rahi gham-e-hayat ne sara lahu nichod liya charagh-e-khana-e-muflis mein raushni na rahi tumhaare samne har haal mein jiye lekin tumhaare baad tamanna-e-zindagi na rahi sharab-e-nab hai saqi bhi hai mughanni bhi magar dilon mein tamanna-e-mai-kashi na rahi ye kaifiyat hi rahi un ki mahfil-e-nau mein charagh jalte rahe aur raushni na rahi tamam umr guzari hai rah-nawardi mein junun-e-shauq mein manzil ki yaad bhi na rahi uth aur ashk-e-mohabbat se kar wuzu 'arman' sahar qarib hai taron mein raushni na rahi