dariya sahil tufan dekhe waqt ke aane jaane mein

dariya sahil tufan dekhe waqt ke aane jaane mein
hum ne sari umr ganwa di kashti par lagane mein

begane to begane the beganon ka shikwa kya
apnon ka bhi hath raha hai ghar ko aag lagane mein

pal do pal mein dheh jate hain taj-mahal armanon ke
lekin barson lag jate hain bigdi baat banane mein

hosh-o-khirad ka daman thamo josh-o-junun se kaam na lo
shishe par hi ban aati hai patthar se takrane mein

kaisi manzil kaisi rahen khud ko apna hosh nahin
waqt ne aisa uljhaya hai apne tane-bane mein

gulshan gulshan sahra sahra shabnam-pashi ki hum ne
phir bhi nam hamara aaya shoalon ko bhadkane mein

rang-e-bahaaran bu-e-gulistan un ki kahani ke unwan
zikr khizaon ka milta hai mere hi afsane mein

apne hi sar tohmat le li diwane ne danista
jaane kya majburi hogi sachchi baat batane mein

nafrat ki diwaren dha den pyar ke aangan mein baithen
barbaadi hi barbaadi hai nahaq khun bahane mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close