chaman mein guzri ki sahra ke darmiyan guzri tumhaari yaad se khali magar kahan guzri fasana umr-e-do-roza ka mukhtasar ye hai haram se dur jo guzri bahut garan guzri hayat yun to guzar hi gai guzarni thi tumhaare shauq mein lekin na raegan guzri khula hai ghuncha-dil har gharib-o-be-kas ka nasim ku-e-madina jahan jahan guzri use nasib hui neamat-e-wila-e-nabi jahan se 'tahniyat' is tarah shadman guzri