aql ka zarf juda hosh ka paimana juda husn aur ishq ka donon se hai afsana juda ishq ka bar-e-amanat kahan kam-maya kahan din bulbul ka juda mashrab-e-parwana juda dil mein hai kirmak-e-shab-tab ke bhi aag nihan lekin is aag se hai sozish-e-parwana juda kab bure waqt mein hota hai kisi ka koi shama gul hote hi ho jata hai parwana juda gulshan-e-dahr mein jab bu-e-wafa anqa ho kya kare gar na rahe sabza-e-begana juda ishq-bazon se nahin bul-hawason ko nisbat un ka mear juda in ka hai paimana juda tegh-e-qatil ke rahe samne hum sina-sipar marte marte na hui himmat-e-mardana juda chashm-e-bina mein hain ye donon jagah manzil-e-yar na rah-e-kaba juda na rah-e-but-khana juda zarre zarre mein hai kaunain ke us ka hi zuhur donon aalam se hai phir jalwa-e-jaanana juda meri hi aankhon pe ghaflat ka pada tha parda shahid-e-husn-e-azal mujh se hua tha na juda zabt-e-ulfat kahin mumkin hai tunak-zarfon se tabish-e-shama juda sozish-e-parwana juda nala-e-atish-e-gham aur bhadak uthta hai shama ke ho jo tasawwur mein bhi parwana juda hai sukhan mein mere ek jiddat-e-taza 'talib' mera mazmun juda unwan juda afsana juda