chaman mein Khaar hi kya gul bhi dil-figar mile

chaman mein khar hi kya gul bhi dil-figar mile
fareb-khurda-e-rangini-e-bahaar mile

maza to jab hai ki wo aaftab-e-subh-e-jamal
gale lipat ke sar-e-sham-e-intizar mile

nigah-e-yas se munh tak raha hun ek ek ka
koi to bazm-e-raqiban mein gham-gusar mile

jinhon ne apne lahu se chaman ko sincha tha
unhin ke jaib-o-gareban tar tar mile

main un ke wadon ka yun bhi yaqin karta hun
mile mile na mile lutf-e-intizar mile

qafas ke baad chaman mein ye dekhna hai mujhe
khizan mile ki wahan mausam-e-bahaar mile

wahi to fikr-e-sukhan aaj-kal kare 'jafar'
jise hayat ka mahaul khush-gawar mile


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close