chaman mein rah ke bhi dil ko agar qarar nahin to ye bahaar ki tauhin hai bahaar nahin tumhaara husn jo phulon se aashkar nahin meri nigah bhi sharminda-e-bahaar nahin huzur aap ke wadon ka kya yaqin aae yahan to zist pe bhi apni eatibar nahin hai zindagi meri ek hadisa jahan ke liye meri tabahi pe kaun aaj ashk-bar nahin wo aankh kya ki mohabbat mein khun baha na sake wo dil hi kya hai jo zakhmon se lala-zar nahin koi hazar sarapa khulus ban jae hamein kisi ka bhi 'anjum' ab eatibar nahin