bahaaron ke rangin zamane hain hum se mohabbat ke sare fasane hain hum se hamare bhi dam se badi raunaqen hain salamat tere baada-khane hain hum se jabin-e-aqidat kahan kham nahin hai tumhaare tamam aastane hain hum se hamari tabahi pe roenge ek din unhen bhi bade zakhm khane hain hum se badi sakht hai zindagi ki wafa bhi murattab anokhe fasane hain hum se jawani se sadme uthaenge hum bhi jawani ko sadme uthane hain hum se bahaaron ki nabzen hain mamnun 'anjum' chaman hum se hain aashiyane hain hum se