chaman mein sair ki khatir jo gul-izar aae khiraj-e-husn ada karne barg-o-bar aae harim-e-naz ki mojiz-numaiyon ke rumuz agar kahen to kisi ko na eatibar aae surur tur ke jalwe se hai jinhen hasil wo sajda-gah-e-mohabbat mein be-qarar aae jo harf-o-saut ki bandish na kar sake angez khayal-e-ariz-o-gesu mein ashk-bar aae gul-e-sabad hai ye 'nasrin' ka sher chun lijiye hamare tarz-e-sukhan se kabhi na aar aae