baat saqi ki na Tali jaegi

baat saqi ki na tali jaegi
ye ghazal sanche mein dhaali jaegi

kar ke tauba aae dil ko jab qarar
muhr-e-shisha tod dali jaegi

jab naqab-e-rukh hata li jaegi
subh hogi raat kali jaegi

kahkashan hai rifaton mein wazhgun
us taraf kyon taba-e-ali jaegi

pan khate hain to wo karte hain qatl
kab bhala honton se lali jaegi

baghban aamada-e-paikar hai
ye sabad gulchin ki khali jaegi

dastak-e-namus ka hai ye shuur
dar pe dilbar ke na tali jaegi

mehman aali-tabiat hai bahut
khwan mein sone ki thaali jaegi

gham na kar 'nasrin' teri kashti zarur
shokh maujon se nikali jaegi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close