chaman mein shab ko jo wo shokh be-naqab aaya yaqin ho gaya shabnam ko aaftab aaya un ankhdiyon mein agar nashsha-e-sharab aaya salam jhuk ke karunga jo phir hijab aaya kisi ke mahram-e-ab-e-rawan ki yaad aai habab ke jo barabar kabhi habab aaya shab-e-firaq mein mujh ko sulane aaya tha jagaya main ne jo afsana-go ko khwab aaya adam mein hasti se ja kar yahi kahunga main hazar hasrat-e-zinda ko gad dab aaya chakor husn-e-mah-e-chaar-dah ko bhul gaya murad par jo tera aalam-e-shabab aaya mohabbat-e-mai-o-mashuq tark kar 'atish' safed baal hue mausam-e-khizab aaya