chaman mein subh ye kahti thi ho kar chashm-e-tar shabnam bahaar-e-bagh go yun hi rahi lekin kidhar shabnam araq ki bund us ki zulf se rukhsar par tapki tajjub ki hai jagah ye padi khurshid par shabnam hamein to bagh tujh bin khana-e-matam nazar aaya idhar gul phadte the jaib roti thi udhar shabnam kare hai kuchh se kuchh tasir-e-sohbat saf tabaon ki hui aatish se gul ki baithte rashk-e-sharar shabnam bhala tuk subh hone do ise bhi dekh lewenge kisi aashiq ke rone se nahin rakhti khabar shabnam nahin asbab kuchh lazim subuksaron ke uthne ko gai ud dekhte apne baghair-az-baal-o-par shabnam na paya jo gaya is bagh se hargiz suragh us ka na palti phir saba idhar na phir aai nazar shabnam na samjha 'dard' hum ne bhed yan ki shadi o gham ka sahar khandan hai kyun roti hai kis ko yaad kar shabnam