chaman mein the jo chaman hi ki dastan sunte koi nawa koi naghma koi fughan sunte qadam na chhodte rahon ko ta-ba-manzil-e-shauq hamari baat jo ye ahl-e-karwan sunte tere qalam se to gulzar-e-be-nawa ka qafas teri zaban se bhi kuchh haal-e-be-zaban sunte hamare dard ka tufan kahan kahan na utha ye shor aap jahan chahte wahan sunte ek umr apni bhi guzri hai ai chaman walo gulon ke kunj mein andesha-e-khizan sunte kisi ka ranj kisi ka alam kisi ka malal ab aur kya tha jo hum zer-e-asman sunte gulon se bach ke chale bulbulon se katrae wo mera qissa-e-khunin kahan kahan sunte kuchh is mein apna bhi soz-e-bayan tha ai 'jazbi' wagarna log kab afsana-e-jahan sunte