ab kahan le ke chhupen uryan badan aur tan jala dhup aisi hai ki sae se bhi pairahan jala chhin lo ehsas mujh se chhin lo mera shuur is ghata mein tan phunka is raushni se man jala zindagi dasht-e-sarab aur sar pe ek suraj muhit main to main hun mere sae ka bhi sab tan man jala kis sada ki zarb se tuta sukut-e-sang-e-dasht ek chingari udi sara ka sara ban jala dil jo tha sine mein bach sakte the kab ahl-e-khirad shahr mein ek shor tha daman jala daman jala dil-dukhon ki khak par ki shab-nashini mah ne din kabhi nikla to ek suraj sar-e-madfan jala tirgi ki aandhiyan uthti rahin har nur se ek charagh aisa hai sine mein ki be-roghan jala rafta rafta ho gae dast-e-talab ahl-e-junun raston par sab liye baithe hain ek daman jala ghut ke rah sakti thi kab tak aatish-e-rang-e-bahaar zarb-e-mausam bhi kuchh aisi thi ki sab gulshan jala jal gaya to kya hua aakhir to main kundan hua ham-nashin daman ki kya jab man jala daman jala