chaman sa dasht ta-hadd-e-nazar kitna hasin hai tu mera ham-qadam hai to safar kitna hasin hai meri jaanib lapakti manzilon se puchh lena kisi ke sath chalne ka hunar kitna hasin hai wo mere samne baitha hua hai mera ho kar dua-e-nim-shab ka ye asar kitna hasin hai zahe qismat ki saye dar bhi hai ba samar bhi mere sar par mohabbat ka shajar kitna hasin hai ajab khwab aashna aankhen hui hain wasl ki shab khuli hai aankh to rang-e-sahar kitna hasin hai main hansti khelti hun jis ke khwab na-rasa mein mera ehsas hasrat hai magar kitna hasin hai nahin hai 'naz' kam jannat se mera aashiyana mohabbat se muzayyan mera ghar kitna hasin hai