main in hasin nazaron ke pas aa na saka khizan-nasib bahaaron ke pas aa na saka raha falak pe sitaron mein jalwa gar mahtab wo apne sina-fagaron ke pas aa na saka tamam umr raha ham-kanar maujon se safina apna kinaron ke pas aa na saka gada-e-ishq ki daulat thi fiqah-o-istighna wo mal-o-zar ke sahaaron ke pas aa na saka jahan mein aam gham-e-rozgar tha 'nayyar' magar wo ishq ke maron ke pas aa na saka