chaman wahi hai ghataen wahi bahaar wahi magar gulon mein wo ab rang-o-bu nahin baqi hai dil-kashi mein wahi ab bhi mausamon ki bahaar nazar mein kaifiyat-e-rang-o-bu nahin baqi shabab-e-dahr ki ab bhi hai wo farawani magar khayal mein josh-e-numu nahin baqi hai dil mein dard bhi pahlu mein dil bhi hai lekin kisi ke dard pe rone ki khu nahin baqi haram ki sham-e-farozan hai aaj bhi lekin tajassus-e-nazar-e-shola-ju nahin baqi gale to milte hain ahbab ai 'haya' ab bhi magar dilon mein sadaqat ki bu nahin baqi