na hoti haal-e-dil kahne ki gar himmat to achchha tha na sunet kash wo sharh-e-gham-e-ulfat to achchha tha meri betabi-e-dil badh gai hai al-aman kitni nikalti gar na shauq-e-did ki hasrat to achchha tha wo rahat-be-ziyan sabit hui kitni hubab-asa kabhi hota na itmam-e-shab-e-furqat to achchha tha hua kyun iltifat un ka badha kyun hausla mera nihan phulon mein rahti aah gar nikhat to achchha tha tamanna hai fuzun hon shorishen jazb-e-mohabbat ki dil-e-muztar ki badhti aur bhi wahshat to achchha tha rahen gham ki sharar-angeziyan ya-rab qayamat tak 'haya' gham se na milti gar kabhi fursat to achchha tha