chaman wala jo andaz-e-chaman ka qadr-dan rahta

chaman wala jo andaz-e-chaman ka qadr-dan rahta
na phulon par jafa hoti na zad mein aashiyan rahta

bahaaren muskuraatin mehrban gar baghban rahta
chaman ki dali dali par hamara aashiyan rahta

usul-e-mai-kashi sab sikh leta jam-o-mina se
jo waiz bhi sharik-e-halqa-e-pir-e-mughan rahta

chamak uthta muqaddar sath deti na-rasa qismat
jo firdaus-e-nazar ban kar kisi ka aastan rahta

chalo achchha hua dil ne har ek surat mita dali
hujum-e-shauq mein kar-e-jahan bar-e-garan rahta

bahal jata hai dil virani-e-dasht-o-bayaban se
na hote ye manazir to tera wahshi kahan rahta

meri rangin bayani lutf deti bazm-e-saqi mein
jo rahte ek taraf tum ek taraf pir-e-mughan rahta

watan ke tukde tukde karne walon se koi puchhe
tabahi kyon ye aati ek agar hindostan rahta

mohabbat meri ruswai ka bais ban gai 'aslam'
bahut achchha tha is se main jo benam-o-nishan rahta


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close