wo wafur-e-lala-o-gul nahin wo nashat-e-qalb-o-nazar nahin

wo wafur-e-lala-o-gul nahin wo nashat-e-qalb-o-nazar nahin
jo iram-ba-kaf thi dam-e-sahar wo bahaar-e-shakh-o-shajar nahin

ye zamana fursat-e-gham agar mujhe de to main bhi dikha sakun
ki tajalliyan mere shauq ki faqat ek raqs-e-sharar nahin

teri yaad bais-e-rahat-e-tapish-e-khayal to hai magar
main hujum-e-shauq ko kya karun mere bas mein dida-e-tar nahin

ye raza-e-yar ka pas hai ki ye sazishen hain hawas ki
mere dil mein soz-e-fughan to hai mere lab pe aah-e-sahar nahin

mera shauq aabla-pa sahi meri rah rah-e-fana sahi
jo tera khayal ho rahbar to andheri raat ka dar nahin

tu kamal-e-shauq se saz utha meri jaan taron ke git ga
teri bazm-gah-e-tarab mein ab kisi dil-jale ka guzar nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close