chaman walon se barq-e-be-aman kuchh aur kahti hai magar meri to shakh-e-ashiyan kuchh aur kahti hai nazar mein us ki yun to sab ki hi raftar hai lekin mere qadmon se gard-e-karwan kuchh aur kahti hai yahan ka zarra zarra mahshar-e-gham hai haqiqat mein ba-zahir raunaq-e-bazm-e-jahan kuchh aur kahti hai hai un ki hi nazar aaina-e-dair-o-haram lekin yahan kuchh aur kahti hai wahan kuchh aur kahti hai kisi din sath chhut jaane ka khatra hai use shayad tere gham se meri umr-e-rawan kuchh aur kahti hai yahi tum ko yaqin kyon hai ki koi iltija hogi suno to meri chashm-e-khunfishan kuchh aur kahti hai mujhe apni sadaqat par bhi shak hai is zamane mein ki dil kuchh aur kahta hai zaban kuchh aur kahti hai jahan mein go nahin aasar kuchh aise qayamat ke magar gumrahi-e-ahl-e-jahan kuchh aur kahti hai kabhi 'kaif' is ka loha mante the lucknow wale magar ab ahl-e-dehli ki zaban kuchh aur kahti hai