kaise kahun ki aaKHiri apni uDan hai

kaise kahun ki aakhiri apni udan hai
is aasman ke baad bhi ek aasman hai

zakhmon se chur chur badan lab pe jaan hai
aise mein hauslon ka mere imtihan hai

allah-re ye shahr-e-nigaran ye mera dil
kachcha ghada hai aur nadi mein ufan hai

mahlon mein ho udas to aa jao laut kar
mera wahin pe aaj bhi kachcha makan hai

tu ne diya jo zakhm wo bhar to gaya magar
dil par hamare aaj bhi us ka nishan hai

parcham hamare azm ka ab bhi buland hai
allah ka hai shukr wahi aan-ban hai

'tashna' tu mushkilat se himmat na haarna
be-shak khuda-e-pak bada mehrban hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close