chameli ghas par bikhri paDi hai

chameli ghas par bikhri padi hai
hawa ye bagh mein kaisi chali hai

lakiron se bane ek aaine mein
kisi ki shakl uljhi rah gai hai

meri khidki se chidiyan ud gai hain
munderon ki marammat jab se ki hai

ilahi khair ho ye kaun aaya
bahut be-waqt ghanti baj rahi hai

nikal aae achanak ghas mein phul
sitaron ne unhen aawaz di hai

khatib-e-shahr ne diwar kaisi
dilon ke aanganon mein khinch di hai

faqat tarikh ko mazhab samajh kar
abhi tak hum ne kitni bhul ki hai

ye sikkon ki tamanna ka samar hai
mere baalon mein chandi aa gai hai

usi aaluda pani mein hamari
tumhaari umr bahti ja rahi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close