aao phir mil jaen sab baaten purani chhoD kar

aao phir mil jaen sab baaten purani chhod kar
ja nahin sakte kahin dariya rawani chhod kar

wo mere kase mein yaaden chhod kar yun chal diya
jis tarah alfaz jate hon maani chhod kar

tum mere dil se gae ho to nigahon se bhi jao
phir wahan thahra nahin karte nishani chhod kar

ab suna hai aam shahri ki tarah phirte ho tum
kya mila hai mere dil ki hukmarani chhod kar

bas abhi tufan-e-gham ka tazkira aaya hi tha
sab gharon ko chal diye meri kahani chhod kar

is tarah mere qabile mein kabhi hota nahin
kaise jaun tere gham ki mezbani chhod kar

ye kalam-ul-lah kab hai jo sada baqi rahe
dar-e-fani se chale hain naqsh-e-fani chhod kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close