chamka jo chand raat ka chehra nikhar gaya mange ka nur bhi to bada kaam kar gaya ye bhi bahut hai sainkadon paude hare hue kya gham jo barishon mein koi phul mar gaya sahil pe log yunhi khade dekhte rahe dariya mein hum jo utre to dariya utar gaya saya bhi aap ka hai faqat raushni ke sath dhundoge tirgi mein ki saya kidhar gaya hum jis ke intizar mein jage tamam raat aaya bhi wo to khwab ki surat guzar gaya hum ne to gul ki chand ki tare ki baat ki sab ahl-e-ajnuman ka guman aap par gaya ghar hi nahin raha hai salamat bataen kya 'jawed' ke baad sail-e-bala kis ke ghar gaya