aainon mein aks na hon to hairat rahti hai jaise khali aankhon mein bhi wahshat rahti hai har dam duniya ke hangame ghere rakhte the jab se tere dhyan lage hain fursat rahti hai karni hai to khul ke karo inkar-e-wafa ki baat baat adhuri rah jae to hasrat rahti hai shahr-e-sukhan mein aisa kuchh kar izzat ban jae sab kuchh mitti ho jata hai izzat rahti hai bante bante dhah jati hai dil ki har tamir khwahish ke bahrup mein shayad qismat rahti hai sae larazte rahte hain shahron ki galiyon mein rahte the insan jahan ab dahshat rahti hai mausam koi khushbu le kar aate jate hain kya kya hum ko raat gae tak wahshat rahti hai dhyan mein mela sa lagta hai biti yaadon ka aksar us ke gham se dil ki sohbat rahti hai phulon ki takhti par jaise rangon ki tahrir lauh-e-sukhan par aise 'amjad' shohrat rahti hai