chamke hain sab ke bakht teri jalwa-gah mein wan kuchh nahin tamiz safed-o-siyah mein rahmat jhalak rahi hai ghazab ki nigah mein dil pa raha hai lazzat-e-taat gunah mein hain jab tujhi pe shaikh-o-barahman mite hue phir farq kya hai but-kada-o-khanqah mein pahle wahi bahisht mein jae to lutf hai sabqat hui hai jis ki taraf se gunah mein bande hun taki khilat-e-rahmat ke mustahiq bhar di hai kut kut ke lazzat gunah mein tasir-e-ah-o-nala to malum han magar dil ka bukhar khub nikalta hai aah mein 'mushtaq' aae rah pe wo shokh ya na aae apni taraf se farq na aae nibah mein