dil tang us mein ranj-o-alam shor-o-shar hon jama chain aae khak ghar mein jab itne zarar hon jama dil mein jo farq dal diya hai raqib ne ho jae bar-taraf kahin hum tum agar hon jama jis ne kiya hai qatl wahi aae nash par kya faeda hai yun jo hazaron bashar hon jama aae na kaam ek bhi be-yari-e-nasib go zat mein kisi ke hazaron hunar hon jama jata hai yar mangen nishani to kis tarah apne kahin hawas bhi waqt-e-safar hon jama likkhi ghazal to khub magar ye zarur hai padhna tab is ko 'sehr' jab ahl-e-hunar hon jama