chand aangan mein jab utarta hai zard patton mein rang bharta hai kaun rukta hai umr bhar ke liye aks pani mein kab thaharta hai koi kaise kahin pe ruk jae waqt har haal mein guzarta hai husn-e-be-khud ko dekhne ke liye aaina der tak sanwarta hai husn-e-be-kal ki ru-numai tak koi jita hai koi marta hai apne jaison mein mo'atabar ho kar aadmi aadmi se darta hai