chand jis waqt dhalne lagta hai ghar mein suraj nikalne lagta hai pahle padti hai dhup jismon par phir to saya bhi jalne lagta hai wahshat-e-gham utarne lagti hai ek khatra jo talne lagta hai ek patthar mein jaan hai sab ki phir wo patthar pighalne lagta hai sara manzar badal sa jata hai jab wo pahlu badalne lagta hai paon rakhta hai apne jhil mein wo aur pani ubalne lagta hai do qadam jis ke sath chalta hun wo hi rasta badalne lagta hai lazzat-e-did jab adhuri ho chand hamrah chalne lagta hai lafz jab bazyab hote hain lab pe misra machalne lagta hai jab sitara ho auj par 'asim' kam-nazar bhi uchhalne lagta hai