chand aansu aankh se girna qayamat ho gae hum hamesha ke liye mahrum-e-rahat ho gae un ke jalwe mere gham-khane ki zinat ho gae dil ke har goshe mein raushan dagh-e-hasrat ho gae ab kahega kaun un se mere gham ki dastan sham' jal kar bujh gai tare bhi rukhsat ho gae tum to apne the tumhein to sath dena tha mera tum zamane ki tarah kyon be-murawwat ho gae meri sachchi baat bhi afsana ban kar rah gai un ke afsane bhi jitne the haqiqat ho gae ab ye 'alam hai mera 'afgan' mazaq-e-yar mein gham ki surat main nahin gham meri surat ho gae