chand bhi khoya khoya sa hai tare bhi KHwabida hain

chand bhi khoya khoya sa hai tare bhi khwabida hain
aaj faza ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain

jaane kin kin logon se is dard ke kya kya rishte the
hijr ki is aabaad sara mein sab chehre nadida hain

itne barson baad bhi donon kaise tut ke milte hain
tu hai kitna sada-dil aur hum kitne pechida hain

sun jaanan hum tark-e-talluq aur kisi din kar lenge
aaj tujhe bhi ujlat si hai hum bhi kuchh ranjida hain

kanon mein ek sargoshi hai be-mani si sargoshi
aankhon mein kuchh khwab saje hain khwab bhi umr-rasida hain

ghar ki wo makhdush imarat gir ke phir tamir hui
ab aangan mein ped hain jitne sare shakh burida hain

is basti mein ek sadak hai jis se hum ko nafrat hai
us ke niche pagdandi hai jis ke hum girwida hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close