zakhm sunte hain lahu bolta hai chaak chup hai to rafu bolta hai khamushi aisi ki dekhi na suni har taraf aalam-e-hu bolta hai khwab samjhun ki haqiqat is ko ek parinda lab-e-ju bolta hai main ki mar kar bhi abhi zinda hun jism par har sar-e-mu bolta hai ab to ek nam ata kar yarab kas-o-na-kas mujhe tu bolta hai wo namazen ki ada ho na sakin ab bhi sahra mein wuzu bolta hai