chand bhi sitaron ko sath le ke chalta hai

chand bhi sitaron ko sath le ke chalta hai
jaane kyun bhatakte hain log be-sabab tanha

dekhiye andheron ke jism kab pighalte hain
tirgi ziyaada hai aur charagh-e-shab tanha

hum jigar-figaron ki is ada ko kya kahiye
baithte hain sab mil kar sochte hain sab tanha

aap ko na ras aai anjuman to kya hoga
hum to kat hi lenge apne roz-o-shab tanha

aur hum kahan jaen kisi se raushni mangen
shahr mein tumhin to ho ek mah-laqab tanha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close