jab koi zakhm ubharta hai kinaron jaisa dil tadapta hai mera mauj ke dhaaron jaisa jab koi aks chamakta hai sitaron jaisa mera qad bhi nazar aata hai minaron jaisa tere hi dar pe mujhe aa ke sukun milta hai ek sahaara bhi nahin tere sahaaron jaisa aaj bhi sab ke dilon pe hai hukumat jis ki wo chatai pe bhi lagta hai dularon jaisa mere hi dam se mahakta hai gulistan phir bhi sab ki aankhon mein khatakta hun main kharon jaisa ab to sukhe hue patte hi nazar aate hain mere aangan mein bahut kuchh tha bahaaron jaisa aaina kaun dikhaega mujhe ai 'dildar' mere dushman ka bhi bartaw hai yaron jaisa