chand chhune ki talabgar nahin ho sakti kya meri khak chamakdar nahin ho sakti ho na ho apni basarat ne mujhe roka hai ghaib jate hue diwar nahin ho sakti jitni pedon mein nazar aati hai taqlib ke baad ye zamin itni pur-asrar nahin ho sakti main ne dhunda hai charaghon ki lawon mein tujh ko tu sitare mein numudar nahin ho sakti ye zaminon pe lahakti hui gandum ki mahak aasmanon ki taraf-dar nahin ho sakti main kise khwab sunane ke liye aaya hun shab agar nind se bedar nahin ho sakti jis ne aansu pe qanaat ka chalan sikha ho wo nazar khugar-e-dinar nahin ho sakti