bila-jawaz nahin hai falak se jang meri atak gai hai sitare mein ek patang meri phir ek roz mere pas aa kar us ne kaha ye odhni zara qaus-e-quzah se rang meri jo kaenat kinare se ja ke mil jae wahi faragh-talab hai zamin tang meri main chikhte hue sahra mein dur tak bhaga na jaane ret kahan le gai umang meri fana ki surkh dopahron mein raqs jari tha ragen nichod rahe the rabab-o-chang meri lahu ki bund giri raushni ka phul khila phir us ke baad koi aur thi tarang meri