chand ghante shor o ghul ki zindagi chaaron taraf aur phir tanhai ki ham-saegi chaaron taraf ghar mein sari raat be-awaz hangama na puchh main akela nind ghaeb barhami chaaron taraf dekhne nikla hun apna shahr jangal ki tarah dur tak phaila hua hai aadmi chaaron taraf mere darwaze pe ab takhti hai mere nam ki ab na bhatkegi meri aawargi chaaron taraf mere ghar mein hi raha ta-umr mera waqia apni apni warna arz-e-waqai chaaron taraf chandni raaton ki basti mein hun main sahma hua khauf se lipti hui hai raushni chaaron taraf hai koi chehra shanasa dhundta hun bhid mein itni raunaq mein bhi ek be-raunaqi chaaron taraf pahle meri baat hans kar tal bhi dete the wo lekin ab tasdiq meri baat ki chaaron taraf bazm mein yun to sabhi the phir bhi 'amir' der tak tere jaane se rahi ek khamushi chaaron taraf