ye hum ne mana ki hoga visal-e-yar nasib dil-e-hazin ko magar hai kahan qarar nasib ye apna apna muqaddar hai aur kya kahiye khizan nasib koi hai koi bahaar nasib koi to ek nazar ke liye tarasta hai kisi ko hota hai didar bar bar nasib na aarzu teri karte na aabru khote khud apne dil pe agar hota ikhtiyar nasib suna to hai tera didar ek din hoga isi ummid pe baithe hain intizar nasib samajh sakega wo kya mere dil ki betabi hua na jis ko kabhi soz-e-ishq yar nasib jahan mein aur bhi 'asi' alam ke mare hain yahan pe tu hi nahin ek sogwar-nasib