chand gile bhula diye chand se darguzar kiya qissa-e-gham tawil tha jaan ke mukhtasar kiya jhut nahin tha ishq bhi zist bhi thi tujhe aziz main ne bhi apni umr ko apne liye basar kiya jaise bhi tere khwab hon jo bhi tere sarab hon main ne to ret odh li main ne to kam safar kiya teri nigah-e-naz ka lutf-o-gurez ek sath shauq tha kuchh agar raha ranj tha kuchh agar kiya tut ke phir se jud gaya khwab ka zard silsila main ne tere firaq ko nind mein hi basar kiya rah bahut tawil thi rah mein ek fasil thi is ko bhi mukhtasar kiya us mein bhi ek dar kiya hum to ajib log the hum ko hazar rog the khub kiya jo aap ne ghair ko ham-safar kiya