meri aankhon mein jab bhi tere manzar baith jate hain to in khali safinon mein samundar baith jate hain kaha kis ne thikane par qalandar baith jate hain ba-zahir phirte rahte hain par andar baith jate hain mujhe duniya ke tanon par kabhi ghussa nahin aata nadi ki tah mein ja ke sare patthar baith jate hain yun uth uth kar hamara bolna dikhlae mahrumi wo jin ko yar ho jae mayassar baith jate hain hamin ko sham ne tanha rakha warna ye wo pal hain ki din aur raat bhi milne ufuq par baith jate hain ai aawara khayalo ashk-bari mein to ruk jao parinde bhi to barish mein simat kar baith jate hain hamara aur un ka rabt hai bas haziri tak hi wo rasman nam lete hain hum uth kar baith jate hain bade charche hain 'alam' aap ki khana-kharabi ke khuda ka shukr hai maqte mein aa kar baith jate hain