chand hain na tare hain aasman ke aangan mein raqs karte hain shoale ab to shab ke daman mein wahshaten hain raqsinda har gali har aangan mein tere ahd-e-zarrin mein ashk-e-khun hain daman mein kaun dhoka deta hai kaun tuta karta hai ab tamiz mushkil hai rahbar mein rahzan mein aise ab ke yaad aai is mah-e-do-hafta ki chandni utar aai jaise ghar ke aangan mein makdiyon ke jalon mein jaise kide hon be-bas uljhe hain kuchh aise hi ahl-e-fikr uljhan mein yun nishan hain rahon mein karwan ke qadmon ke khil rahe hun har jaanib phul jis tarah ban mein phul khilte the 'talib' khushbu raqs karti thi aaj shoale raqsan hain shakh-e-sham-e-gulshan mein